gham nahin hota hai aazadon ko besh az-yak-nafas barq se karte hain raushan sham-e-matam-khana hum mahfilen barham kare hai ganjifa-baz-e-khayal hain waraq-gardani-e-nairang-e-yak-but-khana hum bawajud-e-yak-jahan hangama paidai nahin hain charaghan-e-shabistan-e-dil-e-parwana hum zoaf se hai ne qanaat se ye tark-e-justuju hain wabaal-e-takiya-gah-e-himmat-e-mardana hum daim-ul-habs is mein hain lakhon tamannaen 'asad' jaante hain sina-e-pur-khun ko zindan-khana hum bas-ki hain bad-mast-e-ba-shikan ba-shikan-e-mai-khana hum mu-e-shisha ko samajhte hain khat-e-paimana hum bas-ki har-yak-mu-e-zulf-afshan se hai tar-e-shuaa panja-e-khurshid ko samjhe hain dast-e-shana hum mashq-e-az-khud-raftagi se hain ba-gulzar-e-khayal aashna tabir-e-khwab-e-sabza-e-begana hum fart-e-be-khwabi se hain shab-ha-e-hijr-e-yar mein jun zaban-e-shama dagh-e-garmi-e-afsana hum sham-e-gham mein soz-e-ishq-e-atish-e-rukhsar se par-fashan-e-sokhtan hain surat-e-parwana hum hasrat-e-arz-e-tamanna yan se samjha chahiye do-jahan hashr-e-zaban-e-khushk hain jun shana hum kashti-e-alam ba-tufan-e-taghaful de ki hain aalam-e-ab-e-gudaz-e-jauhar-e-afsana hum wahshat-e-be-rabti-e-pech-o-kham-e-hasti na puchh nang-e-baalidan hain jun mu-e-sar-e-diwana hum