ye kaise malbe ke niche daba diya gaya hun mujhe badan se nikalo main tang aa gaya hun kise dimagh hai be-faiz sohbaton ka miyan khabar uda do ki main shahr se chala gaya hun maal-e-ishq-e-ana-gir hai ye mukhtasaran main wo darinda hun jo khud ko hi chaba gaya hun koi ghadi hai ki hota hun aastin mein dafn main dil se bahta hua aankh tak to aa gaya hun mera tha markazi kirdar is kahani mein bade saliqe se be-majra kiya gaya hun wo mujh ko dekh raha hai ajab tahayyur se na-jaane jhonk mein kya kuchh use bata gaya hun mujhe bhula na sakegi ye rahguzar-e-junun qadam jama na saka rang to jama gaya hun sab ehtimam se pahunche hain us ki bazm mein aaj main apne haal mein sarmast o mubtala gaya hun mere kahe se mere gird-o-pesh kuchh bhi nahin so jo dikhaya gaya hai wo dekhta gaya hun use bataya nahin hijr mein jo haal hua jo baat sab se zaruri thi wo chhupa gaya hun ghazal mein khinch ke rakh di hai apni jaan irfan har ek sher mein dil ka lahu baha gaya hun