ye kaise zulm-o-sitam aur aziyyaten kaisi

ye kaise zulm-o-sitam aur aziyyaten kaisi
padi hain mere hi pichhe musibaten kaisi

hun ghar mein chain se bhuke hain mere hamsae
kisi ke kaam na aae to daulaten kaisi

hamari sadkon pe bahti hain dudh ki nahren
hamein pata hai ki hoti hain jannaten kaisi

jo bhuk se hain pareshan wo kab samajhte hain
ki kya hai zaiqa hoti hain lazzaten kaisi

bhara ho pet to aata hai lutf sajdon mein
wagarna kaisi namazen ibaadaten kaisi

na koi fatiha-khwan hai na koi dast-e-dua
ye chaar su nazar aati hain turbaten kaisi

na jaane kaun sa chhidka hai aab gulchin ne
gulon pe chhai hain 'anjum' ye dahshaten kaisi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close