ye kaisi aag mujh mein jal rahi hai ye kaisi barf mujh mein gal rahi hai koi tasbih mujh mein padh raha hai koi qindil mujh mein jal rahi hai musafir ja chuka lambe safar par abhi tak dhup aankhen mal rahi hai sabhi bahon ko phailae khade hain qayamat hai ki har-pal tal rahi hai izafi ho chuka hai matn sara kahani hashiye se chal rahi hai mujhe sab dafn kar ke ja chuke hain magar ye sans ab tak chal rahi hai bahut roegi ye ladki kisi din jo mere sath hans kar chal rahi hai