chashm-e-khush-ab ki tamsil mein rahne wale hum parinde hain isi jhil mein rahne wale hum ko ras aati nahin kucha-e-jaanan ki hawa hum hain alfaz ki tahwil mein rahne wale kitne aashob gazida se nazar aate hain usrat-e-khana-e-takmil mein rahne wale apne alfaz se tajsim karunga tujh ko mujh pe wa ho meri takhil mein rahne wale wusat-e-zakhm ka tujh ko bhi nahin andaza ai mere zakhm ki tawil mein rahne wale kis liye karte ho tum harf-e-malamat se gurez hum kahan sohbat-e-jibril mein rahne wale mere lafzon ko bhi dete hain wo aayat-e-shifa han wahi hurmat-e-injil mein rahne wale ja tujhe 'shahid' zi-jah ne aazad kiya ai mere hukm ki tamil mein rahne wale