ye kaisi fasl-e-bahaar aai gulon ka sina figar sa hai har ek nazar hai sukun se aari har ek dil be-qarar sa hai chaman ke jo pasban hain sochen isi ko kahte hain kya gulistan shafaq mein shamil hai gham ki surkhi ufuq pe khun-e-bahaar sa hai harif-e-mahkumi-o-ghulami hua hai mazdur ka lahu phir har ek jaanib hai tez aandhi har ek jaanib ghubar sa hai uruj-e-ilm-o-hunar ki manzil karega tai kis tarah mera dil hai pa-e-idrak mein tazalzul shuur sina figar sa hai khayal ki rahguzar to dekho fareb-e-zauq-e-nazar to dekho har ek aahat pe chaunkta hai wajud-e-dil intizar sa hai kisi ki aamad ka sun ke muzhda nasim-e-ummid muskurai har ek lamha hai kaif-awar nigah-o-dil mein khumar sa hai udas tarik khalwaton mein hai aaj 'nashad' kis ki aamad nigah mein bijliyan farozan fazaon mein intishaar sa hai