yahan ishq mast-e-alast hai yahan shakl kya yahan nam kya

yahan ishq mast-e-alast hai yahan shakl kya yahan nam kya
ye jahan-e-mauj-e-khayal hai yahan aql-o-fikr se kaam kya

rah-e-ishq ki ye tajalliyan yahan gum hue kai karwan
kai pech-o-kham hain yahan wahan kisi ja pe koi qiyam kya

jahan harf-o-mani hain sab ghalat wahan muddaa nahin muddaa
jahan guftugu bhi haram ho wahan iztirab-e-kalam kya

yahi mai-kada hai wo mai-kada jahan qatra-qatra surur hai
ye maqam-e-kaif-e-nigah hai yahan raqs-e-baada-o-jam kya

ye hijab-e-la ye wajud-e-la yahan har nishan hai be-nishan
yahan kam hain aql-o-shuur sab yahan aagahi ka maqam kya

na haram se us ko koi gharaz na hi dair se koi wasta
jo ghulam yar ka ho gaya wo bhala kisi ka ghulam kya

ye jahan-e-ishq hai be-khabar yahan kaenat-e-khudi kahan
nahin jab maqam-e-khabar koi to payam kya to salam kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close