ye karbala hai nazr-e-bala hum hue ki tum namus-e-qafila pe fida hum hue ki tum kyun dajla-o-furaat ke dawe ki nahr par tishna-dahan shahid-e-jafa hum hue ki tum mana ki sab ajal ke muqabil the sar-ba-kaf lekin shikar-e-tir-e-qaza hum hue ki tum tum bhi fareb-khurda sahi par ba-sad-khulus maqtul-e-makr-o-said-e-dagha hum hue ki tum tum shakh-e-gul se ud ke gae shakh-e-gul ki samt apne nashemanon se juda hum hue ki tum ustad sabr-o-nukta-shanas-e-raza the tum lekin katil-e-sabr-o-raza hum hue ki tum sau bar raste mein luta hai jo karwan us karwan ke rah-numa hum hue ki tum paikan-e-neza-o-rasan-o-dar hai gawah sar de ke sar-buland-e-wafa hum hue ki tum paiman-e-shauq kis ne nibaha qadam qadam aur haqq-e-ashiqi se ada hum hue ki tum tum bhi nisar-e-dost the hum bhi nisar-e-dost khud faisla karo ki fida hum hue ki tum tum bhi julus-e-mausam-e-gul mein the pesh pesh aawara misl-e-baad-e-saba hum hue ki tum tum lakh ham-safar the par insaf to karo yaro halak-e-laghzish-e-pa hum hue ki tum