ye karen aur wo karen aisa karen waisa karen

ye karen aur wo karen aisa karen waisa karen
zindagi do din ki hai do din mein hum kya kya karen

dusron se kab talak hum pyas ka shikwa karen
lao tesha ek dariya dusra paida karen

husn khud aae tawaf-e-ishq karne ke liye
ishq wale zindagi mein husn to paida karen

chadh ke suli par kharidenge kharidar aap ko
aap apne husn ka bazar to uncha karen

ji mein aata hai ki den parde se parde ka jawab
hum se wo parda karen duniya se hum parda karen

sun raha hun kuchh lutere aa gae hain shahr mein
aap jaldi band apne ghar ka darwaza karen

kijiyega rahzani kab tak ba-nam-e-rahbari
ab se behtar aap koi dusra dhanda karen

is purani bewafa duniya ka rona kab talak
aaiye mil-jul ke ek duniya nai paida karen

dil hamein tadpae to kaise na hum tadpen 'nazir'
dusre ke bas mein rah kar apni wali kya karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close