sukhan kiya jo khamoshi se shaeri jagi charagh lafzon ke jal utthe raushni jagi zid-e-malal-o-masarrat mein umr bit gai ye dew soya na wo khwab ki pari jagi tu barf dard samundar mein iztirab aaya to khushk-chashm jazire mein kuchh nami jagi wahan zaban pe samundar ki khushkiyan ubhrin yahan zamin ke honton pe kuchh hansi jagi nazar nazar mein samain halawaten 'shahpar' khayal-e-lams-o-nazara mein sarkhushi jagi