ye kaun ghazal-khwan hai pur-soz o nashat-angez andesha-e-dana ko karta hai junun-amez go faqr bhi rakhta hai andaz-e-mulukana na-pukhta hai parwezi be-saltanat-e-parwez ab hujra-e-sufi mein wo faqr nahin baqi khun-e-dil-e-sheran ho jis faqr ki dastawez ai halqa-e-darweshan wo mard-e-khuda kaisa ho jis ke gareban mein hangama-e-rusta-khez jo zikr ki garmi se shoale ki tarah raushan jo fikr ki surat mein bijli se ziyaada tez karti hai mulukiyyat aasar-e-junun paida allah ke nishtar hain taimur ho ya changez yun dad-e-sukhan mujh ko dete hain iraq o paras ye kafir-e-hindi hai be-tegh-o-sinan khun-rez