ye kaun meri tishnagi badha badha ke chal diya ki lau charagh-e-dard ki badha badha ke chal diya ye mera dil hi jaanta hai kitna sang-dil hai wo ki mujh se apni dosti badha badha ke chal diya bichhad ke us se zindagi wabaal-e-jaan ho gai wo dil mein shauq-e-khud-kushi badha badha ke chal diya karun to ab main kis se apni wusat-e-nazar ki baat wo mujh mein hiss-e-agahi badha badha ke chal diya na did ki umid ab na lutf-e-naghma-e-visal ki lai wo saz-e-hijr ki badha badha ke chal diya wo aaya 'akbar' is ada se aaj mere samne ki ek jhalak si khwab ki dikha dikha ke chal diya