ye kaun sa maqam hai ai josh-e-be-khudi rasta bata raha hun har ek rahnuma ko main donon hi kaamyab hue hain talash main zat-e-khuda mili mujhe zat-e-khuda ko main mitti utha ke dekhta hun rah-e-shauq ki bhula nahin hun josh-e-talab mein fana ko main hasti fana hui to haqiqat ye khul gai main khud baqa hun kis liye dhundun baqa ko main kyunkar main is ko dushman-e-hasti qarar dun pata hun muddaa ka zariya qaza ko main kyun us ki justuju ka ho sauda mujhe 'ratan' mujh se agar juda ho to dhundun khuda ko main