ye khaki aag se ho kar yahan pe pahuncha hai khamir utha tha jahan se wahan pe pahuncha hai nigah-e-husn ne tartib ulti kar dali ki tir nikla nazar se kaman pe pahuncha hai abhi talak jo fida-e-ba-nam-e-ishq raha jo hosh aaya to sud-o-ziyan pe pahuncha hai main zahiran to sukhan se ba-khub waqif hun darun ka aks agarche ziyan pe pahuncha hai khizan-e-hijr mein gulshan mein phul khilne lage gazand ye bhi dil-e-na-tawan pe pahuncha hai