ye khayal-e-shauq-parwar dil ke bahlane ko hai koi be-rukh be-rukhi se baz aa jaane ko hai ye muamma mai-kade mein kaun suljhane ko hai be-khudi hushyar ko aur hosh diwane ko hai raaz-e-dar-parda ka parda khud-bakhud uth jaega bas faqat un se nazar do-chaar ho jaane ko hai mai-kade mein shaikh ka aana shagun achchha nahin hosh ki le saqiya rindon ko bahkane ko hai sadgi shashdar khadi hai shokhiyan sina-sipar ek ada jaane ko hai aur ek ada aane ko hai allah allah ye nizam-e-hosh-o-masti saqiya hosh mastane ko hai aur kaif paimane ko hai jam-o-mina ki zarurat hi nahin 'majruh' ko mast nazron se koi madhosh farmane ko hai