ye khazane ka koi sanp bana hota hai aadmi ishq mein duniya se bura hota hai kaam aata nahin bilkul koi rona-dhona jaane wala to kahin dur gaya hota hai jhonk kar dhul nigahon mein jahan walon ki wo hamesha ki tarah mera hua hota hai likh di hoti hai muqaddar mein bulandi jis ke surat-e-khak wo qadmon mein pada hota hai karni padti hai usi mein hamein tarmim ki jo waqia pahle se tartib diya hota hai