pise hain dil ziyaada-tar hina se chala do gam bhi jab wo ada se wo but aae idhar bhi bhul kar rah dua ye mangta hun main khuda se hijab us ka hua shab mane-e-did naqab ulti na chehre ki haya se ishaara khanjar-e-abru ka bas tha mujhe mara abas tegh-e-jafa se bahut bal kha rahi hai zulf-e-jaanan bachegi jaan kyun kar is bala se hai behtar ek karishme mein hon do kaam madine jaun rah-e-karbala se khuda jab be-talab bar lae maqsad uthaun kyun na hath apne dua se 'nizam' ab uqda-e-dil kyun na hal hon mohabbat hai tujhe mushkil-kusha se