ye khush-fahmi bachaw ke liye hai ki dariya bas bahaw ke liye hai churane dun kisi suraj ko kaise ye shabnam jo alaw ke liye hai teri tali bhi koi fitna hogi teri thapki bhi taw ke liye hai be-marham hi raho ki ye namak to hamare apne ghaw ke liye hai dhdakna bhi zaruri nain hai is ka na hi ye dil lagaw ke liye hai abhi mahfuz hain mallah sare bhanwar filhaal naw ke liye hai hawa mein gharq hai har mauj 'sagar' kinara bhi kataw ke liye hai