ek husn ki zinat ke liye sham-o-sahar do aaine tumhaare hain ye khurshid-o-qamar do wo dil mein samae meri aankhon mein utar kar ghar ek azal se hai magar rahguzar do manzil hai meri kaba-o-but-khana se aage hain naqsh-e-qadam ye bhi sar-e-rahguzar do hain yun to bahut husn-o-mohabbat ke alawa hangama-e-takhliq mein naghme hain magar do aapas mein na than jae 'salam' un ki jhalak se maqsud-e-nazar ek hai aur dida-e-tar do