ye khwab aur bhi dekhenge raat baqi hai abhi to ai dil-e-zinda hayat baqi hai mere lahu mein abhi tark-e-ishq ke ba-wasf wo garmi-e-nigah-e-iltifat baqi hai abhi to zauq-e-talab mein kami nahin aai abhi mera safar-e-be-jihat baqi hai jo ho sake to shahadat-gah-e-nazar mein aa ye dekh ishq mein kitna sabaat baqi hai ye kaenat abhi ek intizar mein hai ki hone wali koi wardat baqi hai khud apni rakh se tu ji uthe sharar ki tarah ye moajiza abhi ai kaenat baqi hai shab-e-visal mein din bhi mila na len ai dost ki raat khatm hui aur baat baqi hai hui hai shakh-e-hunar mein nai numu ab ke 'salim' barg-e-khizan se najat baqi hai