dukan-e-mai-farosh pe gar aae mohtasib din id ke to khub ghada jae mohtasib ai charkh-e-fitna-gar ye rawa hai ki har baras sahba-kashon pe baj ki thahrae mohtasib maston ne sangsar kya us ko bar-ha lekin gaya na us pe bhi sauda-e-mohtasib hathon se us ke shisha-e-dil chur hai mera ya-rab kiye ki apne saza pae mohtasib ye ku-e-mai-farosh mein raula hua ki raat dahshat se wan thahar na saka pa-e-mohtasib mast-e-sharab-e-ishq ko bazar-e-dahr mein zinhaar bim-e-shahna na parwa-e-mohtasib kuchh de ke rishwat us ko tu pi 'mushafi' sharab sab zar ke waste hai ye ghaugha-e-mohtasib