ye khwab jis ne dikhae the ek safar ke mujhe wo ashk de gaya aankhon mein umr bhar ke mujhe hai fan mein yakta wo sayyaad ho ki ho dilbar udan bharne ko kahta hai par katar ke mujhe kathin tha rasta dushwar thi har ek manzil koi dikhae usi rah se guzar ke mujhe main us ki khas nazar se tadap tadap utthun wo itne pyar se dekhe thahar thahar ke mujhe zara si der thaharne de ai gham-e-duniya zara sa dekh le wo bhi to aankh bhar ke mujhe mere khayal ki uljhan kahan sudharti hai gul-e-bahaar ne dekha hai phir sanwar ke mujhe sulag rahi hun main sanson ki tez bhatti mein pila raha hai wo ulfat ke jam bhar ke mujhe wo shahd ghol raha hai samaaton mein meri bula raha hai koi baam se utar ke mujhe dhadak raha hai mohabbat mein dil mera 'afroz' guzar rahi hain hawaen bhi pyar kar ke mujhe