khamoshiyon mein sada se likha hua ek nam suno hai dast-e-dua se likha hua ek nam har ek ki apni zaban hai na padh sakega bashar zamin pe aab-o-hawa se likha hua ek nam jo sun sako to suno khushbuon ke lab par hai gulon pe baad-e-saba se likha hua ek nam chamakta rahta hai jab tak kuredi jae na rakh chita pe dast-e-fana se likha hua ek nam ajib baat hai padhiye to harf udne lagen badan badan pe qaba se likha hua ek nam kabhi kabhi to baraste hue bhi dekha hai falak pe kali ghata se likha hua ek nam magar ye quwwat-e-binai kis tarah aai hawa mein dekha hawa se likha hua ek nam kabhi khulengi agar mutthiyan to dekhenge hatheliyon pe hina se likha hua ek nam ye kaenat to lagta hai 'nur' jaise ho kisi ki khas ada se likha hua ek nam