ye kis dayar ke hain kis ke khandan se hain asir ho ke bhi jo log itni shan se hain mile uruj to maghrur mat kabhi hona bulandiyon ke sabhi raste dhalan se hain tum apne unche mahal mein raho magar socho tumhaare sae mein kuchh log be-nishan se hain zamin-e-karb ki har fasl ka jo malik hai hamare dard ke rishte isi kisan se hain mahak rahe hain gul-e-zakhm-e-arzu har pal meri hayat ke sab rang zafran se hain suna rahe hain wahi dastan-e-zulm-o-sitam hamari aankh mein aansu jo be-zaban se hain kahan tak aap chhupaenge dastan-e-sitam kitab-e-jism pe ab bhi kai nishan se hain ye kaun tujh ko bachae hai har bala se 'raza' ye kis ke hath tere sar pe aasman se hain