kahna na mana kucha-e-qatil mein rah gaya achchha hua jo dil kisi mushkil mein rah gaya kya puchhte ho aise musafir ki sarguzisht jis ko ki dil bhi chhod ke manzil mein rah gaya nikla tha ban sanwar ke bahut chaudhwin ka chand phir bhi wo tere rukh ke muqabil mein rah gaya qatil ne tegh myan mein kuchh soch kar rakhi thoda sa jab ki dam tan-e-bismil mein rah gaya dirham mila bhi munim-e-kaj-khulq se agar ek dagh ban ke wo kaf-e-sail mein rah gaya itna bata de us ke uthane se faeda taswir ban ke jo teri mahfil mein rah gaya kya jaane bahr-e-ishq ki haalat wo bad-nasib dam tod kar jo daman-e-sahil mein rah gaya fikr us ki ranj us ka ummid us ki kuchh na puchh jo sar jhuka ke kucha-e-qatil mein rah gaya tabir-e-khwab zulf-e-musalsal thi kya yahi 'alim' jakad ke main jo salasil mein rah gaya