ye kis ke naqsh aaine mein ubhre ye kaun rahat hai jhilmilai ki us ka jadu junun mein ghulte huon ko behaal kar gaya hai hamare hisse mein lao de do tamam wahshat wo sab aziyyat tumhaare hathon mein jo thama kar koi na jaane kidhar gaya hai tumhein kisi zakhm ki khabar tak na denge hum ki aziz-e-jaan ho na ye bataenge sukh ka dariya tabah kar ke utar gaya hai hamari haalat ka kya thikana ki dil se badh kar tha gham tumhaara magar ai mahtab husn tera bata ki kaise bikhar gaya hai shumar taron ka mat karo tum gino nahin ab ye bahte aansu jo dard tha ab wo mit chuka hai jo zakhm tha ab wo bhar gaya hai wo ek hasrat jo dil ke andar khuda bani thi nahin rahi hai wo sabr tha jo ghurur-e-hasti qasam khuda ki wo mar gaya hai