ye kis ki bazm ke qisse suna raha hun aaj tamasha kyon 'khalish' apna bana raha hun aaj yahi jawab hai ab be-karan andheron ka tumhaare nam ki shamen jala raha hun aaj ab aur tab nahin dard-e-hijr sahne ki chale bhi aao ki main khud bula raha hun aaj kisi ki yaad ke tufan badhte aate hain kisi khayal mein duba hi ja raha hun aaj sahar hui magar aankhon se nind ruthi hai 'khalish' main sham se kya sochta raha hun aaj