ye kis ki justuju hai aur main hun maqam-e-dasht-e-hu hai aur main hun chaman mein dekhta phirta hun kis ko fareb-e-rang-o-bu hai aur main hun ba-roz-e-hashr taza gul khilega wo daman ka lahu hai aur main hun kabhi diwana tha par ab hun hushiyar gareban ka rafu hai aur main hun himaqat hazrat-e-wais ki dekho taqaza-e-wuzu hai aur main hun na puchho dil mein kya kya hasraten hain tumhaari aarzu hai aur main hun bhala ho tishna-kaami aur tera mai-o-jam-o-subu hai aur main hun rahunga kah ke dil ka majra sab are mahshar mein to hai aur main hun wo kahte hain kaho ai 'shauq' kya hai are khalwat hai tu hai aur main hun