us ne jo dard ka ambar lagaya hua hai hum ne bhi dil sar-e-bazar lagaya hua hai ek aafat ki tarah hum ne ab is sine se tha lagana jise sarkar lagaya hua hai pyar ki taza hawa aae kahan se hum ne khud ko ek surat-e-diwar lagaya hua hai kya kisi but ki mohabbat mein giraftar hue kyun bhala sine se zunnar lagaya hua hai ek lamhe ko bhi maujud nahin hai rahat ghar mein kya halqa-e-aghyar lagaya hua hai apne se dur bhi rakkha hai bahut tu ne hamein ek tasma sa bhi ai yar lagaya hua hai taki tafriq dilon mein na rahe hargiz 'tur' hum ne is par ko us par lagaya hua hai