ye kis ko aaya KHayal mera ye main kise yaad aa raha hun

ye kis ko aaya khayal mera ye main kise yaad aa raha hun
jigar ki be-tabiyon mein kuchh kuchh sukun sa aaj pa raha hun

ye mah-o-anjum ye nuqrai shab ye muskurahat ye jagmagahat
ye kis ki ulfat ke hain karishme ki har taraf husn pa raha hun

tumhein mubarak tumhaari mahfil yahan se ukta gaya mera dil
mere irade rahen salamat main apni manzil pe ja raha hun

ye kunj-e-hasti ye maut ka ghar ye dil ke naghme nashat-parwar
fana ki masnad pe baith kar bhi hayat ka lutf utha raha hun

tu meri taswir-e-khana-e-dil ki turfa-kari to dekhta ja
ye kis ki surat ka aks le kar main apni surat bana raha hun

ye kya khabar dair hai ki kaba yahan to hai abdiyat ka sauda
kiya hai tu ne jahan ishaara wahin sar apna jhuka raha hun

ye shab ka haijaan-nawaz aalam na koi monis na koi hamdam
to phir kise main fasana-e-gham sisak sisak kar suna raha hun

main us jagah hun muqim 'turfa' qadam qadam par jahan hai fitna
magar khuda hai mera muhafiz ki aaj tak muskura raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close