amn-o-aman ki khatir khai thin hum ne qasmen lekin raha nahin hai ye kaam apne bas mein haalat-e-hazira ne ki aisi rahnumai gulshan ko dhundte the hum aa gae qafas mein qudrat ke chahne se hoga ilaj is ka ab gham nahin hai mera duniya ki dastaras mein dair-o-haram se mera bas wasta hai itna ye bhi hai mere bas mein wo bhi hai mere bas mein 'bismil' mere azaem duniya se hain nirale hans kar main ji raha hun rah kar bhi khar-o-khas mein