ye kis maqam-e-tamanna se dil guzarne laga hawa hai jism mein ek zahr sa utarne laga ulajh raha hai teri bu-e-pairahan se badan ki phul halqa-e-bazu ka kaam karne laga hawa-e-dard ne mohlat na di sambhalne ki nuqush-e-yaad samete to main bikharne laga wo tha sitara-e-rangin ki mahtab ki qash hui jo shab to tere lab pe rang ubharne laga hua kuchh is tarah insaf bhi rawa 'jamshed' ki munsifon se dil-e-be-gunah darne laga