mauj aae koi halqa-e-girdab ki surat main ret pe hun mahi-e-be-ab ki surat sadiyon se sarabon mein ghira soch raha hun ban jae kahin sabza-e-shadab ki surat aasar nahin koi magar dil ko yaqin hai ghar hoga kabhi wadi-e-mahtab ki surat hai soch ka tesha to nikal aaegi ek din patthar ke hisaron mein koi bab ki surat pahchan mujhe bhi ki zamin shakl hai meri main sindh ka chehra hun na punjab ki surat