ye kis ne dur se aawaz di hai

ye kis ne dur se aawaz di hai
fazaon mein abhi tak naghmagi hai

sitare dhundte hain un ka aanchal
shamim-e-subh daman chumti hai

talluq hai na ab tark-e-talluq
khuda jaane ye kaisi dushmani hai

rida-e-zulf mein guzri thi ek shab
magar aankhon mein ab tak nind si hai

meri taqdir mein bal pad rahe hain
teri zulfon mein shayad barhami hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close