ye kis ne kah diya hai qasr-e-sultani mein rahta hun main apni zat mein phaili bayabani mein rahta hun bahut hi sadgi se roz khata hun fareb us se phir us ke baad pahron ek hairani mein rahta hun main din-bhar khub hansta hun hamesha muskuraata hun magar shab-bhar main bazm-e-ashk-afshani mein rahta hun mujhe jo dushmanon ke war se mahfuz rakhti hain main kuchh aisi duaon ki nigahbani mein rahta hun ye main ne aazmaya hai bade logon ki mahfil mein main jitna chup rahun utni hi aasani mein rahta hun kisi bhi waqt ashkon ka bahao kam nahin hota main dariya ki tarah har waqt tughyani mein rahta hun