zamin ruki hui hai aasman ruka hua hai tumhaare baad hamara jahan ruka hua hai kahani aur koi mod hi nahin leti usi ka zikr sar-e-dastan ruka hua hai jo rahbar the wahi rahzanon se mil gae hain isi liye ye mera karwan ruka hua hai jo dawedar tha kal tak meri mohabbat ka wo tir ban ke miyan-e-kaman ruka hua hai ye mera qatl teri be-rukhi ke bais hai wo zahr to abhi zer-e-zaban ruka hua hai wahin khada hun jahan chhod kar gae the mujhe wahin pe shama wahin pe dhuan ruka hua hai ye fasla to kisi taur kam nahin hota jo tere aur mere darmiyan ruka hua hai