ye kis sada pe qadam rah badalne lagte hain lage jo aankh to khwabon mein chalne lagte hain main apni pyas ko dafnana chahta hun jahan usi zamin se chashme ubalne lagte hain andheri raat mein us ka khayal aate hi jabin pe chand sitare nikalne lagte hain yahi nahin ki charaghon ko nind aati hai hawa ke lams se hum bhi pighalne lagte hain ye kaun hum pe barasta hai abr ki surat charagh-e-hijr ki jab lau mein jalne lagte hain