ye kis wahshat-zada lamhe mein dakhil ho gae hain hum apne aap ke madd-e-muqabil ho gae hain kai chehre meri sochon se zail ho gae hain kai lahje mere lahje mein shamil ho gae hain khuda ke nam se tufan mein kashti utari bhanwar jitne samundar mein the, sahil ho gae hain wo kuchh pal jin ki thandi chhanw mein tum ho hamare wahi kuchh pal to jiwan bhar ka hasil ho gae hain ulajhte ja rahe hain justuju ke par musalsal zamin-ta-asman kitne masail ho gae hain! 'nabil' aawaz bhi apni kahan thi muddaton se jo tum aae to hum yak-lakht mahfil ho gae hain