zamin ki aankh se manzar koi utarte hain hawa ka aks chalo ret par ubhaarte hain khud apne hone ka inkar kar chuke hain hum hamari zindagi ab dusre guzarte hain tumhaari jit ka tum ko yaqin aa jae so hum tumhaare liye bar bar haarte hain talash hai hamein kuchh gum-shuda bahaaron ki guzar chuke hain jo mausam unhen pukarte hain chamak rahe hain mere khema-e-sukhan har-su harif dekhiye shab-khun kaise marte hain ye kaisi hairaten darpesh hain aziz-'nabil' zara thaharte hain aaseb-e-jaan utarte hain