ye kya andaz hain dast-e-junun-e-fitna-saman ke udae ja rahe hain chaak kyun sahra ke daman ke abhi tum ne nahin dekhe sharare aah-e-sozan ke abhi shoale kahan bhadke hain dil mein dard-e-pinhan ke hawadis ki hawaon ne ghata di lau mohabbat ki diye maddham se hote ja rahe hain bazm-e-jaanan ke wafa ke gul hi wo gul hain ki jo daim mahakte hain wagarna ye kahan hai baat phulon mein gulistan ke jalao khun-e-dil mahfil mein jab kuchh raushni hogi andhera har taraf chhaya hua hai bazm-e-jaanan ke gulon se tazgi phulon se rangat ho gai rukhsat saba ne kan mein kya kah diya fasl-e-bahaaran ke unhen bhi shams' ki haalat pe rahm aa hi gaya aakhir na dekhe ja sake paiham mazalim charkh-e-gardan ke