na apna baqi ye tan rahega na tan mein tab o tawan rahegi agar judai mein jaan rahegi tumhin batao kahan rahegi mizha ke tiron se chhan dil ko jo chhanni ho nigah ko gahri khinchi hui dil se kab talak yun teri bhawon ki kaman rahegi khuda ne munh mein zaban di hai to shukr ye hai ki munh se bolo ki kuchh dinon mein na munh rahega na munh mein chalti zaban rahegi bahaar ke takht-o-taj par bhi gulon ko rote hi hum ne dekha ki gad kar khar-o-khas ka jhanda chaman mein ek din khizan rahegi dikhaega apna jab wo qamat machegi yan tarfa ek qayamat na waizon mein ye zikr hoga na masjidon mein azan rahegi bajega kuchon mein yunhi ghanta azan yunhi hogi masjidon mein na jab talak un ko tu milega tamam aah-o-fughan rahegi na denge jab tak nigah ko dil hum qarar hasil na hoga dil ko kabhi na hum sans le sakenge udi hui ek sinan rahegi zaban pe 'shahbaz' ki hain jari mudam shirin-labon ki baaten khuda ne chaha to nok-e-khama hamesha ratb-ul-lisan rahegi