ye kya ki sab se bayan dil ki haalaten karni 'faraaz' tujh ko na aain mohabbaten karni ye qurb kya hai ki tu samne hai aur hamein shumar abhi se judai ki saaten karni koi khuda ho ki patthar jise bhi hum chahen tamam umr usi ki ibaadaten karni sab apne apne qarine se muntazir us ke kisi ko shukr kisi ko shikayaten karni hum apne dil se hi majbur aur logon ko zara si baat pe barpa qayamaten karni milen jab un se to mubham si guftugu karna phir apne aap se sau sau wazahaten karni ye log kaise magar dushmani nibahte hain hamein to ras na aain mohabbaten karni kabhi 'faraaz' nae mausamon mein ro dena kabhi talash purani rifaqaten karni