hain baad mere marg ke aasar se ab tak sukha nahin lohu dar-o-diwar se ab tak rangini-e-ishq is ke mile par hui malum sohbat na hui thi kisi khunkhar se ab tak kab se mutahammil hai jafaon ka dil-e-zar zinhaar-wafa ho na saki yar se ab tak abru hi ki jumbish ne ye suthrao kiye hain mara nahin un ne koi talwar se ab tak wada bhi qayamat ka bhala koi hai wada par dil nahin khali gham-e-didar se ab tak muddat hui ghut ghut ke hamein shahr mein marte waqif na hua koi us asrar se ab tak barson hue dil-sokhta bulbul ko mue lek ek dud sa uthta hai chaman-zar se ab tak kya jaaniye hote hain sukhan lutf ke kaise puchha nahin un ne to hamein pyar se ab tak us bagh mein aghlab hai ki sarzad na hua ho yun nala-kaso murgh-e-giraftar se ab tak khat aae pe bhi din hai siyah tum se hamara jata nahin andher ye sarkar se ab tak nikla tha kahin wo gul-e-nazuk shab-e-mah mein so koft nahin jati hai rukhsar se ab tak dekha tha kahin saya tere qad ka chaman mein hain 'mir'-ji aawara-pari dar se ab tak