ye kya tilism hai main us ko dekh bhi na sakun ki jis ke jalwon se daman-e-chashm bhar jae tu mere dil mein misal-e-chaman mahakta hai main sans lun teri khushbu bikhar bikhar jae guzarti shab ki har ek chap se main darta hun na jaane kaun sa lamha udas kar jae main aaina hi nahin aks bhi hun lekin tu wo raushni hai jo daman-kashan guzar jae hai ek khwab meri khud-fareb aankhon mein agar ye khwab meri ruh mein utar jae