jab se teri aankh hum se phir gai halqa-e-gham mein tabiat ghir gai fauj-e-mizhgan mein mere khun ke liye chashm ki gardish se kaudi phir gai mohtasib ki aankh par jab se chadhi dukht-e-raz shishe ke dil se gir gai na-tawanon ke liye tufan kya qatra-e-shabnam mein juhi tar gai saqiya koi bala tha mohtasib khairiyat guzri jo khum ke sir gai murda mera dekh kar bola wo shokh kyon 'nasim' ab aankh teri phir gai