ye log hain kaise ki jinhen gham nahin hota mar jae agar koi to matam nahin hota har dard ki qismat mein dawa bhi nahin hoti har zakhm ki taqdir mein marham nahin hota ho jata hai shadabi-e-rukhsar se mahrum wo phul jo aasuda-e-shabnam nahin hota izhaar-e-tamanna ki koi rut nahin hoti iqrar-e-wafa ka koi mausam nahin hota har dar pe jo jhuk jae use sar nahin kahte sar wo hai ki jo war pe bhi kham nahin hota ye dard-e-mohabbat bhi ajab dard hai 'sabir' badhta hai to badhta hai kabhi kam nahin hota