shohraten auron ne pain nam auron ko mila kaam to hum ne kiya inam auron ko mila fasl jo main ne ugai kar ke mehnat raat din jab biki wo fasl meri dam auron ko mila mere purkhon ne lagae ped jo mere liye un ki thandi chhanw mein aaram auron ko mila mere hisse mein sulagti dopahar ki dhup thi zindagi ka lutf subh-o-sham auron ko mila thi hamari haisiyat is shahr mein meamar ki hum ne chhat tamir ki aaram auron ko mila hum bhi pyase the magar munh dekhte hi rah gae dast-e-saqi se chhalakta jam auron ko mila mujh ko 'sabir' har qadam par rah mein kante mile phulon se aarasta har-gam auron ko mila