ye main bhi kya hun use bhul kar usi ka raha ki jis ke sath na tha ham-safar usi ka raha wo but ki dushman-e-din tha ba-qaul naseh ke sawal-e-sajda jab aaya to dar usi ka raha hazar chaaragaron ne hazar baaten kin kaha jo dil ne sukhan mo'tabar usi ka raha bahut si khwahishen sau barishon mein bhigi hain main kis tarah se kahun umr bhar usi ka raha ki apne harf ki tauqir jaanta tha 'faraaz' isi liye kaf-e-qatil pe sar usi ka raha