ye main kahunga falak pe ja kar zamin se aaya hun tang aa kar jo ai masiha tu hai masiha to kuchh mere dard ki dawa kar tumhaare jalwe ghazab ke dekhe tumhaare chhinte bala ke pae laga laga di bujha bujha kar bujha bujha di laga laga kar ziden mohabbat se aisi aain khayal rakkha na apne ghar ka buton ne kabe ko muft dhaya kisi ke dil ko dukha dukha kar wo shokh be-e'tibar kafir raha na tanha gaya na tanha jo dard uttha utha utha kar to dil ko baitha bitha bitha kar ye zor hirman-o-yas ka hai asar kahan ka meri fughan ko patak patak khak par diya hai falak se uncha utha utha kar gudaz karte hain mere dil ko wo yun bithate hain apna sikka jali kati ho rahi hai kya kya adu se mujh ko suna suna kar suni kisi ne sada-e-tuti na haalat-e-andalib dekhi jo kor thi is chaman mein nargis to gul bhi ai ham-safir tha kar kahin na zulfon se khul pada ho mujhe hai andesha apne dil ka ki purze purze uda raha tha adu koi shai dikha dikha kar wo but ki den us ko to na gar de to lakh tufan utha ke dhar de zaban phir saf qata kar de jo munh se nikle khuda khuda kar ilahi hangam-e-amad-amad ye kis qayamat-khiram ka hai khisak chale sehn-e-bostan se tadrau-o-taus dum daba kar falak hua mehrban phire din shab-e-visal aa gai to is ne bahaar-e-lutf-o-karam dikha kar naqab-e-sharm-o-haya utha kar kabhi hansaya kabhi rulaya kabhi rulaya kabhi hansaya jhijak jhijak kar simat simat kar lipat lipat kar daba daba kar 'bayan' hai wo baadshah-e-asra ki jis ki dargah-e-khusrawi mein diya zamin-e-adab ko bosa falak ne gardan jhuka jhuka kar