kabk o qumri mein hai jhagda ki chaman kis ka hai kal bata degi khizan ye ki watan kis ka hai faisla gardish-e-dauran ne kiya hai sau bar marw kis ka hai badakhshan o khutan kis ka hai dam se yusuf ke jab aabaad tha yaqub ka ghar charkh kahta tha ki ye bait-e-huzan kis ka hai mutmain is se musalman na masihi na yahud dost kya jaaniye ye charkh-e-kuhan kis ka hai waiz ek aib se tu pak hai ya zat-e-khuda warna be-aib zamane mein chalan kis ka hai aaj kuchh aur dinon se hai siwa istighraq azm-e-taskhir phir ai shekh-e-zaman kis ka hai aankh padti hai har ek ahl-e-nazar ki tum par tum mein rup ai gul o nasrin o saman kis ka hai ishq udhar aql idhar dhun mein chale hain teri rasta ab dekhiye donon mein kathin kis ka hai shan dekhi nahin gar tu ne chaman mein us ki walwala tujh mein ye ai murgh-e-chaman kis ka hai hain fasahat mein masal waiz o 'haali' donon dekhna ye hai ki be-lag sukhan kis ka hai